Namaz E Asar Ke Baad Qaza Namaz Padh Sakte Hai Kya?

Aur Dusra Sawal Hai Ki Agar Namaz E Asar Aur Isha Ki Sunnat E Gair Muakkadah Uski 4 Farz Rakat Ke Baad Parh Sakte Hai

Jawab:

Namaz e Asar Ke Baad Agar Makrooh Waqt Nahi Hai to Farz o Wajib Ki Qaza Parhi Ja Sakti Hai.

Asar Namaz ki Farz Ke Baad Us Ki Sunnat Parhne Ki Ijazat Nahi.

Isha Namaz Ke Farz Aur Witr Wagaira Ke Baad Pehle Wali 4 Sunnat Parhi Ja Sakti Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love