Ek shakhs ki readymade kapdo ki dukaan hai.

Uske yahan namaz kayem ki jaati hai jamat se. Bachchon ke readymade kapdo mein photos bhi hote hai.

Woh koshish ye karta hai ki saare photos dhak jaayein magar mumkin hai ki kuch na kuch baaki reh jaata hai.

Ab agar koi wahan namaz padhe aur wahan photos khule hain magar namazi ki us photo par nazar naa padhe.

Toh kya namaz ho jaayegi?

Jawab:

Surat e Mas’oola mein Agar Us Tasweer ka Chehra itna bada ho ke Zameen par Rakh kar qiyaam ki halat mein waazeh nuqoosh nazar aate hain aur Wo Tasweer Namazi ke muhaazaaat mein aati ho.

Yaani kahin se uska saamna hota hai chaahe aage, ya peeche daayein, yaa baayein se to Namaz makrooh e tahrimi hogi.

Us namaz ko dohrana waajib hai.

Unhe chahiye ke itni badi chaadar se tasweeren dhaki jaayein ke sab mukammal chup jaayein.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love