4 Rakat Zohar Ki Sunnat Ke Liye Niyat Bandhi Sana Ke baad Surah Fatiha Nahi Padha Aur Dusri Surah Padhli?

Ab is surat mein kiya Kiya jayein? Namaz Mukammal Kare ya Tod dein?

Agar Mukammal Karein To Tariqa Kya Hai?

Jawab:

Mazkoorah surat mein Surah fatiha Parh kar dobarah surah milaye aur ruku sajda wagairah kar ke rekaat mukammal karein aur baqiya Namaz bhi Mukammal karein.

Aur Agar Qiyaam ke baad yaad aaya to Agli 2 rekaat mein surah Fatiha ke sath Surah Milaaye Aur Har surat mein akhir mein sajda e sahw karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love