1. Farz ka matlab kya hai?

2. Kya Sujood faraiz mein se ek farz hai?

3. Agar namaz mein koi farz chhut jaayein to kya hukm hai?

4. Agar zaid ko salaam ferne ke baad yaad aaya ke uska sajda chhut gaya to kya hukm hai?

5. Agar zaid ko salaam ferne se pehle qadah e akhira mein baithne ke waqt yaad aayaa ke uska pehli rakat, ya dusri rakat ka sajda chhuta.

To kya hukm hoga uss chhute hue sajda ka?

6. Agar zaid ne Attahiyat padhliya aur uske baad yaad aaya ke uska koi sajda chhut gaya.

To kya hukm hoga uss chhute hue sajda ka?

Jawab:

1) Farz wo hai ke begair uske ibadat Mukammal hogi hi nahi.

2) Namaz mein har rekaat mein dono sajde Farz hain.

3) Agar Namaz mein koi farz chhoot gaya to Namaz na hogi.

4) Salam pherne ke baad yaad aaya ke ek sajda reh gaya.

To jab tak koi Munaafi e namaz amal nahi kiya, to wo Sajda karle Aur Phir qaada karein Attahiyat parh kar sajda e sahw karein.

Phir Attahiyat wagaira parh kar salam phere.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love