Aksar masjid mein dekha gaya hai ke 10 saal ki umr

Ya usse bade bachcho ko bhi piche saf mein kar diya jata hai,Ya fir kone mein namaz padho kaha jata hai.

Kya kandhe se kandhe milna itna zaruri hai aur kya agar koi naata admi saf mein aajaye ya lamba aadmi aajaye toh use bhi piche kiya jaaye.

Bachche jo shauk ke saath jaldi masjid mein aate hai unko bade buzurg jo akhir mein aate hai piche kardete hai.

Kya pehli saf mein bachcho ko namaz padhna mana hai?

Jawab:

Kandhe se kandha milne se muraad ghani saff bandi hai.

Yaani darmiyan mein jagah khali na chhori jaaye, aur Isme Qad (height) ki baat nahi.

Bachcha agar samajh wala hai aur Durust Namaz ada karta hai.

Wo saff mein ho to Namaz bila karaahat ho jayegi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love