Fajr Namaz Ke Waqt Kitni Rakat Namaz Padhi Jati Hai?

Fajr Namaz ki Niyyat ka tarika kya hai?

Jawab:

Kul Chaar (4) Rakat Namaz Padhi Jati Hai.

Pehle Doo (2) Rakat Sunnat.

Phir Doo (2) Rakat Farz.

Fajr Namaz Ki Doo (2) Rakat Sunnat Ki Niyat Kis Tarah Ki Jayegi?

Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Sunnat Fajr Ki ALLAH Taala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Fajr Namaz Ki Doo (2) Rakat Farz Ki Niyat Kis Tarah Ki Jayegi ?

Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Farz Fajr Ki ALLAH Taala Ke Liye (Muqtadi Itna Aur Kahe Peeche Iss Imam Ke) Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Share your love