Jawab:
Jumma ki Namaz Farz Hai Aur Uski Farjiyat Zohar ki namaz Se Zyaada Muakkad Hai.
Jumma Farz Hone Ki Gyarah (11) Shartein Hai.
(1-2) Shahar Mein Muqeem Aur Aazad Hona.
Isiliye Musafir Aur Gulam Par Jumma Farz Nahi.
(3) Sehat (Yaani Aise Mareez Par Ki Jumma Masjid Tak Na Ja Sake Jumma Farz Nahin).
(4-5-6) Mard Aur Aaqil Baligh Hona (Yaani Aurat, Pagal Aur Na’Baligh Par Jumma Farz Nahin).
(7-8) Ankhiyaara Hona Aur Chalne Par Qadir Hona.
Isiliye Andhe, Lunje Aur Falij Wale Par Ki Jo Masjid Tak Na Ja Sakta Ho Jumma Farz Nahin.
(9) Qaid Mein Na Hona. Magar Jabki Kisi (Dain) Qarz Ki Wajah Se Qaid Kiya Gaya Ho Aur Ada Karne Par Qadir Ho Toh Jumma Farz Hai.
(10) Hakim, Ya Chor Wagairah Kisi Zalim Ka Khauf Na Hona.
(11) Barish, Ya Aandhi Wagairah Ka Is Qadar Na Hona Ki Jisse Nuqsaan Ka Qawi Andesha (Sakht Khtra) Na Ho.