Zohar Namaz Mein Kitni Rakat Namaz Padhi Jaati Hai?

Jawab: Zohar Namaz Mein Kul Baarah (12) Rakat Namaz Hai.

Pehle Chaar (4) Rakat Sunnat.

Phir Chaar (4) Rakat Farz.

Phir Doo (2) Rakat Sunnat.

Phir Doo (2) Rakat Nafl!

Pehle Chaar (4) Rakat Sunnat Ki Niyat Kaise Kare.

Niyat Ki Maine Chaar (4) Rakat Namaz Sunnat Zohar Ki ALLAH Taala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Chaar (4) Rakat Farz Ki Niyat Kaise Karein.

Niyat Ki Maine Chaar (4) Rakat Namaz Farz Zohar Ki ALLAH Taala Ke Liye (Muqtadi Itna Aur Kahe Peeche Iss Imam Ke) Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Doo (2) Rakat Sunnat Ki Niyat Kis Tarah Ki Jaye.

Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Sunnat Zohar Ki ALLAH Taala Ke Liye Sunnat Rasoolullah Ki Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Doo (2) Rakat Nafl Ki Niyat Kaise Karein.

Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Nafl Ki ALLAH Taala Ke Liye Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!

Share your love