Imam sahab 1 rakat padha chuke the Humne dusre pakdi.nnTo imam sahab do baar qaida me baithenge, to dusre baar baithenge to hamare wo teesre rakat Hogi.nnToh hum sirf Attahiyyat padhe, ya durood shar’eef or dua e masura bhi padhe.nnApni teesre rakat me or imam sahab ne jo dusre raqat mai ayat milaye, to hum apni 4 wali rakat me usse pehle wali milaye, ya baad wali or agar aisa zohar or asar me ho to konse milaye.nnKyuki hume pata hi nahi imam sahab ne konse Surah padhe hoge dusre rakat me.nn2) Agar Maloom Ho ki Konsi surah milaye the imam ne dusre rakat me, to Kaunsi padhe uske pehle wali, ya baad wali.nnRehnumaye farmaye.nnJawab:nnMazkoora surat me Imam ke qaada e akhira me jab baithe, to sirf Attahiyyat parh kar khamosh rahe, Ya Tashahhud dohraaye.nnImam ke salam pherne ke Baad jo ek rakat apni parhe, usme surah fatiha ke sath surah milaaye.nn2) Agar maloom hai ke imam ne kaun si surah dosri rekaat me parhi.nnTo usse pehle wali yaad ho, to wo parhe warna jo surah chahe parhe.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????