Aur Fajar, zohar, Asar, Maghrib aur isha mein dusre rakat ke qaide mein Attahiyat ke baad Durood e Ibrahim padh le bhool ke.
To kya sajda e sahw karna hoga.
Jawab:
Farz, Wajib, ya sunnat e muakkada ke qa’da e ula mein tashahhud ke baad bhool kar durood parh liya.
To akhir mein sajda e sahw wajib hoga.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi