Tahajjud ki namaz kitni rakat hoti hai.

Tahajjud Ki Namaz Ka Waqt Isha Ki Namaz Ke Baad So Kar Uthe Uss Waqt Se Tulu e Subah Sadiq Tak Hai.

Tahajjud Ki Namaz Kam Se Kam Doo (2) Rakat Hoti Hai Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Se Aath (8) Rakat Tak Saabith Hai.

Hadees Shareef Mein Tahajjud Namaz Ki Badi Fazilat (Badaayi) Aayi Hai.

Nasai Aur Ibn e Maaza Ne Apni Sunan Mein Riwaayat Ki Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:

Jo Shaks Raat Mein Bedaar Ho (Jaage) Aur Apne Ahal Ko Jagaaye.

Phir Doono Doo Doo Rakaat Padhein.

Toh Kasrat Se Yaad Karne Waalo Mein Likhe Jaayenge

Share your love