Eid ul fitr wa Eid ul adha Ki Namaz Wajib Hai Ya Sunnat?

Jawab:

Eid ul fitr wa Eid ul Adha Ki Namaz Wajib Hai.

Magar Inke Wajib Aur Jayez Hone Ki Shart Hai.

Jo Jumma Ke Liye Hai, Sirf Farq Itna Hai Ki Jumma Mein Khutba Shart Hai Aur Eidein Mein Sunnat.

Doosra Farq Yeh Hai Ki Jumma Ka Khutba Namaz Se Pehle Hai Aur Eidein Ka Khutba Namaz Ke Baad.

Aur Teesra Farq Yeh Hai Ki Eidein Mein Azaan wa Iqamat Nahi Hai.

Sirf Do Baar “Assalatu Jami’ah” Kehne Ki Ijazat Hai.

Eid ul fitr wa Eid ul adha Ki Namaz Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai?

Jawab:

Eid ul fitr wa Eid ul adha Ki Namaz Ka Waqt Ek Neza Aftab (Suraj) Buland Hone Ke Baad Se Zawal Ke Pehle Tak Hai.

Share your love