Eid ul Adha (Azha) Ke Tamam Ahkaam Eid ul Fitr Ki Tarah Hain Ya Kuch Farq Hai?

Jawab:nnEid ul Fitr Ki Tarah Hai.nnSirf Baaz Baaton Mein Farq Hai Aur Woh Yeh Hai.nn1) Eid ul Adha (Azha) Mein Mustahab Yeh Hai Namaz Ada Karne Se Pehle Kuch Na Khaye.nnAgarche Qurbani Na Karni Ho Aur Agar Khaliya Toh Karahat Nahi.nn2) Eid ul Adha (Azha) Ke Din Eidgaah Ke Raste Mein Buland Aawaz Se Takbeer Kehte Huwe Jaaye.nn3) Qurbani Karni Ho, Toh Mustahab Yeh Hai Ki Pehli Se Duswi (10wi) Zilhijja Tak Na Hajamat Banwaye Aur Na Nakhun Tarshwaye.nn4) Nawwi (9wi) Zilhijja Ki Fazar Se Terawi (13wi) Ki Asar Tak Har Namaz e Farz Panjgana Ke Baad Jo Jama’at Mustahabba Ke Sath Ada Ki Gayi Ho Ek Bar Buland Aawaz Se Takbeer Kehna Wajib Hai Aur Teen Bar Afzal.nnIsey Takbeer e Tashreeq Kehte Hai Woh Yeh Hai.nn“ALLAHU AKBAR ALLHU AKBAR LAA’ILAH ILALLAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WA LILLAHULHAMDU”

Share your love