Juma Jayez Hone Ki Sharth Kya Hai?

Juma Jayez Hone Ki Chaar (6) Sharth Hai?

Juma Jayez Hone Ki Pehli Sharth Hai.

Juma Jayez Hone Ki Pehli Sharth Misr Ya Fanaye Misr Hona Hai.

Juma Jayez Hone Ki Doosri Sharth Hai.

Doosri Sharth Yeh Hai Ki Badshah, Ya Uska Nayab Juma Qayam Karein Aur Agar Islami Hukumat Na Ho.

Toh Sabse Bada Sunni Sahi Aqeeda Rakhne Wala Aalim Qaim Karein Ki Bagair Uski Ijazat Ke Juma Nahi Qayam Ho Sakta.

Aur Agar Yeh Bhi Na Ho, Toh Aam Log Jis Ko Imam Banayein Woh Qayam Karein.

Juma Jayez Hone Ki Teesri Aur Chawthi Sharth Hai.

Teesri Sharth Zohar Ke Waqt Ka Hona Hai.

Isiliye Waqt Se Pehle, Ya Baad Mein Padhi Na Huwi, Ya Darmiyaani Namaz Mein Asr Ka Waqt Aa Gaya Juma Batil Ho Gaya, Zohar Ki Qaza Padhe.

Aur Chawthi Sharth Yeh Hai Ki Zohar Ke Waqt Mein Namaz Se Pehle Khutba Ho Jaaye.

Juma Jayez Hone Ki Paanchwi Aur Chatthi Sharth Hai.

Paanchwi Sharth Jamat Ka Hona Hai.

Jiske Liye Imam Ke Alawa Kam Se Kam Teen Mard Ka Hona Zaroori Hai.

Aur Chatthi Sharth Izne’aam Hai.

Iska Matlab Yeh Hai Ki Masjid Ka Dawaza Khol Diya Jaaye, Taaki Jis Musalman Ka Ji Chahe Aaye Kisi Ki Rok Tok Na Ho.

Share your love