Eid ul Fitr Ki Namaz Padhne Ka Tariqa Aur Niyat Kya Hai?

Jawab:

Pehle Is Tarah Niyat Kare.

Niyat Ki Maine Do Rakat Namaz Wajib Eid ul Fitr Ya Eid ul Azha (Adha) Ki Che (6) Takbeeron Ke Saath ALLAH TA’AALA Ke Liye (Muqtadi Itna Aur Kahein Peeche Is Imam Ke) Munh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke.

Phir Kaano Tak Hath Uthaye Aur ALLAHU AKBAR Keh Kar Hath Bandh Le.

Phir Sana Padhein.

Phir Kaano Tak Hath Le Jaaye Aur ALLAHU AKBAR Kehte Huwe Hath Chhodh De.

Phir Hath Uthaye Aur ALLAHU AKBAR Kehte Huwe Hath Chhodh De.

Phir Teesri Bar Hath Uthaye Aur ALLAHU AKBAR Keh Kar Hath Bandh Le.

Iske Baad Imam Aahista Aauzu Billah wa Bismillah Padhkar Buland Aawaz Se Alhumdu Ke Saath Koi Surat Padhe.

Phir Ruku Aur Sajde Se Farigh Hokar Doosri Rakat Mein Pehle Alhumdu Ke Saath Koi Surat Padhein.

Phir Teen Bar Kaano Tak Hath Le Jaayein Aur Har Bar ALLAHU AKBAR Kahe Aur Teesri Martaba Hath Na Bandhe Aur Chawthi Bar Bagair Hath Uthaye ALLAHU AKBAR Kehte Huwe Ruku Mein Jaayein Aur Baqi Namaz Doosri Namazo Ki Tarah Puri Kare.

Salam Pherne Ke Baad Do Khutba Imam Padhe.

Phir Dua Mange Khutba e Ula (Pehla Khutba) Shuru Karne Se Pehle Imam Mimbar Par Khade Hokar 5 Bar Aahista ALLAHU AKBAR Kahe Ki Yehi Sunnat Hai.

Share your love