Jawab:
Namaz Ke Wajibat Yeh Cheezein Hai.
Takbeer-E-Tehreema Mein Lafz e Allahu Akbar Hona.
Alhamdu Padhna, Farz Ki Doo Pehli Rakato Mein Sunnat, Nafl Aur Witr Ki Har Rakaat Mein Alhamdu Ke Saat Surat, Ya Teen Chooti Aayat Milaana,
Farz Namaz Mein Doo Pehli Rakato Mein Qirat Karna,
Alhamdu Ki Surat Se Pehle Hona Har Rakaat Mein Surat Se Pehle Ek Hi Baar Alhamdu Padhna,
Alhamdu Wa Surat Ke Darmiyan Kisi Ajnabi Ka Fasil Na Hona.
Qirat Ke Baad Fauran Ruku Karna,
Sajde Mein Doono Paawo Ke Teen Teen Ungliyo Ka Peit Zameen Par Lagana.
Doono Sajde Ke Darmiyan Koi Rukn Fasil Na Hona, Taadil Arkaan,
Qauma Yaani Ruku Se Seedha Khada Hona,
Jalsa Yaani Doono Sajdon Ke Darmiyan Seedha Baithna.
Qaida-E-Oola Mein Tashahhud Ke Baad Kuch Na Padhna,
Har Qaida Mein Poora Tashahhud Padhna,
Lafz e Assalaam Doo Baar Kehna,
Witr Mein Dua-E-Qunoot Padhna,
Takbeer e Qunoot,
Eidein Ki Chaaron Takbeere,
Eidein Mein Dusri Rakaat Ki Takbeer-E-Ruku Aur Uss Takbeer Ke Liye Lafze Allahu Akbar Hona,
Har Zaahiri Namaz Mein Imam Ko Zaahir Se Qirat Karna Aur Gair Zaahiri Mein Aahista Qirat Karna,
Har Wajib Aur Farz Ka Uski Jagah Par Hona,
Ruku Ka Har Rakaat Mein Ek Hi Baar Hona Aur Sujood Ka Doo Hi Baar Hona,
Dusre Se Pehle Qaida Na Karna Aur Chaar Rakaat Waali Mein Teesri Par Qaida Na Hona,
Aayat e Sajda Padhi, Toh Sajda-E-Tilawat Karna Aur Sajda E Sahu Ho. Toh Sajda-E-Sahu Karna.
Doo Farz, Ya Doo Wajib, Ya Wajib Farz Ke Darmiyan Teen Tasbeeh Ki Miqdaar Wakfa Na Hona,
Imam Jab Qirat Kare Buland Aawaz Se Khwaah Aahista Uss Waqt Muqtadi Ka Chup Rehna Aur Siwaaye Qirat Ke Tamaam Wajibat Mein Imam Ki Pairwi Karna!