Qada e Ula (Pehli Baithak) Mein Bhool Kar Durood Shareef Bhi Padh Liya Toh Kya Hukm Hai?

Jawab:nnAgar “Allahum’ma Salli Ala’Muhammadin” Ya “Allahum’ma Salli Ala Sayyedena” tak Padha, Ya Isse Zyada Padha, Toh Sajda e Sahw Wajib Hai Aur Agar Issey Kam Padha Toh Nahi.nnMagar Yeh Hukm Sirf Farz, Witr Aur Zohar wa Jumuah Ki Pehli Char Rakat Wali Sunnato Ke Liye Hai.nnRahe Deegar Sunnat wa Nawafil, Toh Unke Qada e Ula Mein Bhi Durood Shareef Padhne Ka Hukm Hai.

Share your love