Mujhe imam sahab ne masjid mein akar namaz padhne ki ijazat di hai.
Lekin mere maa baap corona bimari ke darr ki wajah se mana karr rahe hai.
Aise mein mujhe jama’at wajib hone ki wajah se masjid jana chahiye, ya maa baap ke mana karne ki wajah se ruk jana chahiye.
Mai abhi 18 saal ka hu college mein padhta hu.
Jawab:
Agar Mohalle ki masjid hai, to zarur aap ba jamaat Namaz ada karein aur koi pabandi nahi, to ap par jamaat wajib bhi hai.
Wa-Allahu Ta’Ala A’lam
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
- Advertisement -