Jawab:
Namaz Mein Bilqasd Jamai Lena Makrooh-E-Tahrimi Hai Aur Khud Aaye To Harj Nahi. Magar Rokna Mustahab Hai Aur Agar Rokne Se Na Ruke To Hont Ko Dantto Se Dabaye Aur Is Par Bhi Na Ruke To Dahina Ya Baya Hath Muh Par Rakh De Ya Asteen Se Muh Chupa Le.
Qayam Mein Dahina (Right) Hath Se Dhanke Aur Dusre Mauqa Par Baya (Left) Se.
(1) (Miraqi Alfalah) Faida: Ambiya Alaihissalam Is Se Mehfoz Hai, Is Liye Ke Isme Shaitani Mudahkilat Hai.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Ke Jamahi Shaitan Ki Taraf Se Hai, Jab Tum Mein Kisi Ko Jamahi Ayein To Jahan Taak Mumkin Ho Roke
(2) Is Hadees Ko Imam Bukhari Wa Muslim Ne Sahi Hain Mein Riwayat Kiya,
Balke Baaz Riwayato Mein Hai, Ke Shaitan Muh Mein Ghus Jata Hai
(3) Baaz Mein Hai, Shaitan Dekh Kar Hansta Hai.
(4) Ulma Farmate Hain: Ke Jo Jamahi Mein Muh Khol Deta Hai, Shaitan Is Ke Muh Mein Thok Deta Hai Aur Jo Qah Qaha Ki Awaz Aati Hai, Wo Shaitan Ka Kehkaha Hai, Ke Is Ka Muh Bigra Dekh Kar Thatha Lagata Hai Aur Wo Jo Ratubat Nikalti Hai, Wo Shaitan Ka Thook Hai.
Iske Rokne Ki Behtar Tarkeeb Yeh Hai Ke Jab Jamahi Aati Maloom Ho To Dil Mein Khayal Karein Ke Ambiya Alaihis Sallam Isse Mehfooz Hai, Foran Rook Jaeygi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi