Sirf Farz Namaz Nahi. Balki Sunnat Wagerah Mein Bhi Buland Awaz Se Parhna Kaisa Hai?
Jawab:
Din Ki Sunnat O Nawafil Mein Aahista Padhna Wajib Hai Aur Raat Ki Sunnato Mein Ikhtyaar Hai Ke Buland Aawaz Se Qirat Karein, Ya Aahista.
Munfarid Ke Liye Zuhar O Asr Ki Farz Namaz Mein Aahista Qirat Wajib Hai Aur Magrib O Isha O Fajr Mein Ikhteyaar Hai.
Aahista Padhein, Ya Baland Awaz Se Padhein.
Magar Magrib Namaz Ki Teesri Aur Isha Namaz Ki Teesri O Chauthi Mein Aahista Padhein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi