Juma Ki 2 Rakat Jo Imam Sahab Ada Karwate Hai

Hum Jamaat Se Ada Karte Hai. Woh Farz Hai, Ya Wajib Ki Niyat Karni Hogi.

Phir 4 Rakat Sunnat E Muakkada Jo Hai Uske Baad 2 Rakat Do Nafil Ke Pehle Jo Hai.

Woh Gair Muakkada Hai, Ya Sunnat E Muakkada Hai.

Jawab:

Juma Ki 2 Rakat Namaz Jo Jamat Se Padhi Jaati Hai Woh Farz Hai.

Aur Juma Ke Baad Ki 4 Rakat Sunnat Muakkadah Hai Aur Iske Baad Wali 2 Rakat Sunnat E Gair Muakkidah Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love