Kya Namaz Mein DAROODE PAAK Padh Sakte Hai Aur Dua Mang Sakte Hai?

Jawab:

Farz O Wajib O Sunnat E Muakkidah Ke Qada E Akhirah Mein Aur Baqiya Nafl Namazon Ke Qada E Oola O Qada Akhirah Dono Mein Tashahhud Ke Baad Durood Padhein Aur Durood Ke Baad Behatar Hai Ke Dua E Maasoorah Padhein Aur Maasoorah Ke Ilawah Dosri Dua Bhi Kar Sakte Hai.

Magar Arabi Zabaan Mein Ho Aur Aise Alfaaz Na Ho Jo Bande Aapas Mein Ek Dosre Ko Kaha Karte Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love