Khade Ho Ke Sunnat Or Farz Namazein Padhi. Lekin Nafil Namaz Baith Kar Padhi.
To Kya Uski Namaz Ho Gayi Khas (Nafil Namaz) Mein Kya Hukum Hoga.
Jawab:
Nafl Namaz Baith Kar Padhne Mein Harj Nahi.
Magar Khade Ho Kar Padhne Mein Duguna Sawab Hai.
Haan Sunnat E Muakkidah O Wajib O Farz Khade Ho Kar Padhein.
Bila Uzr Ye Namaze Baith Kar Padhne Ki Ijazat Nahi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi