Char Rakat Wali Namaz Mein Imam Ke Piche Do Rakat Chhut Jayein

Ya Teen Rakat Chhut Jaye To Kaise Ada Karein?

Jawab:

4 Rakat Wali Namaz Mein Sirf 2 Rakat Mili To Imam Ke Salam Ke Baad Khada Ho Jaayein,

Aur Sana O Auzubillah O Bismillah O Soora E Faatiha O Soorat Padh Kar Ruku O Sajde Kar Ke Phir Khade Ho Jaayein,

Aur Bismillah O Soora E Faatiha O Soorat Padh Kar Ruku O Sajde Kar Ke Baith Jaayein,

Aur Tashahhud O Durood Dua Padh Kar Salam Pher De.

Aur Agar 3 Rakat Chhut Jaayein To Imam Ke Salam Ke Baad Khade Ho Jaayein,

Aur Sana O Auzu Billah O Bismillah O Soora E Faatiha O Soorat Padh Kar Ruku O Sajde Kar Ke Baith Jaayein,

Aur Tashahhud Padh Kar Phir Khade Ho Jaayein,

Aur Bismillah O Soora E Faatiha O Soorat Padh Kar Ruku O Sajde Kar Ke Phir Khade Ho Jaayein,

Aur Bismillah O Soora E Faatiha Padh Kar Ruku O Sajde Kar Ke Baith Jaayein Aur Tashahhud O Durood Dua Padh Kar Salam Pher De.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love