Ya Tasbihat Itna Aahista Padhta Ho Ke Khud Nahi Soon Sakta To Uski Namaz Nahi Hoti. To Kya Koi Shaksh Elawa Namaz Ke Tasbihat Ya Quran Ki Tilawat Ya Aise Hi Koi Wazifa Itna Aahista Padhta Ho Ke Khud Na Soon Sakta Ho.
Kya Ye Durust Hai.
Jawab:
Namaz Ke Ilawah Bhi Tilawat E Quran O Auraad O Wazaaif Ke Wird Mein Itni Aawaaz Honi Chaahiye Ke Khud Soon Sake.
Agar Itni Bhi Aawaaz Na Hui, To Use Padhna Nahi Kahenge.
Maslan Kisi Ne Is Tarah Quran Shareef Ki Tilwata Ki Ke Usme Itni Aawaaz Na Thi Ke Khud Soon Sake.
To Use Quran Shareef Dekhne Aur Use Chhoone Ka Sawab To Milega.
Magar Tilawat Ka Sawab Nahi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi