Ramzan Sharif Mein Witr Ki Namaz Jamat Se Padhi Jati Hai.

Aur Agar Kisi Shakhs Ki Witr Ki Pehli Rakat Chhut Gayi Aur Ab Imam Sahab Teesri Rakat Mein Surah Ikhlas Ke Baad ALLAAHU AKBAR Kahenge.

To Sabhi Log Hath Utha Kar Fir Se Bandh Lenge Or Dua E Qunoot Padhenge.

To Ab Is Surat Mein Jiski Pehli Rakat Chuti, To Ab Us Shakhs Ke Liye Wo Teesri Rakat, Uske Liye Dusri Rakat Hui.

To Ab Is Surat Mein Wo Shakhs Kya Karein Jiski Witr Ki Pehli Rakat Chuti Ho?

Jawab:

Witr Ki Pahli Rakat Chhut Jaayein.

To Imam Ke Saath Dua E Qunoot Padhein Aur Imam Ke Salam Ke Baad.

Jab Apni Padhein Usme Dua E Qunoot Na Padhein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love