Asar Namaz ki Sunnat ki Fazilat?

Asar Namaz ki Sunnat ki Fazilat.

Asar se pahle 4 Rakat e Sunnat padhein.

Hadees: Ahmed wa Abu dawood wa Tirmizi Ibne Umar Radiallau Ta’Ala Anhuma se Raavi Farmate hai

Us Shakhs par Raham karein jisne Asar se pahle 4 Rakat e padhi.

Hadees: Tirmizi Maula Ali Radiallau Ta’Ala Anhu se Raavi ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Asar se pahle 4 Rakat e padah karte Aur Abu Dawood ki Riwayat mein hai ki 2 padhte the.

Hadees: Tabraani kabir mein Ummul Mominin Umme salma Radiallahu Ta’Ala Anha se Raavi ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wassallam Farmate hai jo Asar se Pahle 4 Rakat e padhein Allah Ta’Ala Uske badan ko Aag par Haraam farma dega.

Dusri Riwayat Tabrani ki Amr ibne Aas Radiallahu Ta’Ala Anhu se hai ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Sahaba ke Majme mein jisme Amirul Mominin Umar Ibne khattab Radiallau Ta’Ala Anhu bhi the Farmaya

Jo Asar se pahle 4 Rakat e padhega use Aag na chuyegi.

Bahare shariat Hissa 04 Safa 11

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love