Witr ki namaz qaza ho gayi to qaza namaz padhna kaisa hai?

Mas’Ala: Witr ki Namaz Qaza Hogayi Ho to Qaza padhana Wajib hai.

Agarche kitna hi zamana ho gaya ho Qasdan (jaan buzh kar) Qaza ki ho ya bhule se qaza ho gayi ho Aur jab Qaza padhein, to usme Dua e Qunoot bhi padhein.

Albatta Qaza mein Takbeere Qunoot ke liye haath na uthaye, jabki Logo ke saamne padhta ho.

Kyuki logo ko witr ka chutna maalum hoga.

(Durre Mukhtaar, Aalamgeeri)

Ramzan sharif ke Alaawa Aur dino mein witr Jamat se na padhein Aur tadai ke taur par ho to makrooh hai.

(Durre Mukhtaar)

Mas’Ala: Jise Aakhiri Shab mein Jaagne par Ehtimaad ho, to Behtar yah hai ki peechli Raat mein Witr padhein, warna Baad e isha padhle.

(Hadees)

Mas’Ala: Awwal Shab mein witr padh kar so raha hai, Phir peechle ko jaaga.

To dobara witr padhna jaayez nahi Aur Nawafil jitne chahe padhein.

(Guniya)

Bahare shariat Hissa 04 Safa 09

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love