Aur Jo Tark ki Adad karein Uske Liye Kya Hukm hai?
A – Wo Mustahkke Malaamat hai.
B – Faseeq Hai.
C – Marddushsh shahadat Hai. (Jiski Gawahi Kabul na ho)
D – Mustahakke Naar (Dozakh me Jaane ka Haq daar) Hai.
E – Gumrah Hai.
Sunnat e Muakkadah Hai Ki Shariat mein us par Taakid Aai Bila Ujr Ek baar Bhi Tark karein To Mustahkke Malaamat Hai Aur Tark ki Aadat Karein to Faseeq, Marddushsh shahadat (Jiski Gawahi Kabul na ho), Mustahkke Naar (Dozakh mein jaane ka hakdaar hai) Aur Baaz Aimma ne Farmaya ki wah gumrah Thahraya jayega Aur wah Gunahgaar hai.
Agarche uska wajib ke Tark se kam hai.
Talwih mein hai ki uska tark karib haraam hai.
Uska taark (Chorne wala) Mustahak (Hakdaar) Hai ki MAAZ’ALLAH.
Shafat se Mahroom ho jaayein ki Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
Jo meri Sunnat ko Tark karega usse meri Shafa’At na milegi Sunnat e Muakkadah ko Sunane huda bhi kahte hai.
Bahare shariat Hissa 04 Safa 11,12
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi