Makrooh Waqto Mein Qaza Namaz NaJayez Hai

Aur Agar Qaza Shuru Karli To Wajib Hai ki Qaza Tood de.

Makrooh Waqto Mein Qaza Namaz NaJayez Hai Aur Agar Qaza Shuru Karli To Wajib Hai ki Qaza Tood de.

Mas’Ala : Awaam Agar Subah Ki Namaz Aaftab Nikalne Ke Waqt padhein, To Mana Na Kiya Jaayein.

Durre Mukhtar Jild 1 safa 248

Mas’Ala: Mamnu’a Waqt (Yaane Jin Waqto Mein Namaz Mana Hai).

Agar Janaza Laaya Jaayein, To Usi Waqt Padhe Koyi Karahat Nahi.

Karahat Us Surat mein Hai ki Agar Pahle se Janaza Tayyar tha Aur Itni der ki ki Waqte karahat Aa Gaya.

Aalamgeeri jild 1 safa 49

Mas’Ala: Makrooh Waqto mein Qaza Namaz Na Jaayez Hai Aur Agar Qaza Shuru kar Li To Wajib Hai ki Qaza Tood de Aur Agar todi Nahi To Farz Saakit Ho Jaayega, Magar Gunahgaar Hoga.

Durre Mukhtar Jild 1 safa 249

Aalamgeeri jild 1 safa 49

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love