Suraj / Chand Grahan Ki Namaz Kaun Si Hai?

Jawab:

Suraj Grahan Ki Namaz Sunnt E Muaqqada Hai Aur Chand Grahan Ki Mustahab Hai.

Suraj Grahan Ki Namaz Jamat Se Padhani Mustahab Hai Aur Tanha-Tanha Bhi Ho Sakti Hai.

Aur Jamat Se Padhi Jaayein To Khutbe Ke Siwa Tamaam Sharaite Jumuah Iske Liye Shart Hai.

Yaani Wahi Shakhs Uski Jamat Kayam Kar Sakta Hai Jo Jumuah Ki Kar Sakta Hai.

Wah Na Hoto Tanha-Tanha Ghar Mein Ya Masjid Mein.

Durre Mukhtaar

Grahan Ki Namaz Usi Waqt Padhein Jab Aaftaab Grahan Ho Yaani Jab Grahan Lag Raha Ho, Grahan Chhoot Ne Ke Baad Nahi.

Aur Agar Grahan Chutna Shuru Ho Gaya Magar Abhi Baaki Hai Us Waqt Bhi Shuru Kar Sakte Hai Aur Grahan Ki Haalat Mein Us Par Abr (Badal) Aa Jaayein Jab Bhi Namaz Padhein.

Aise Waqt Mein Grahan Laga Ki Us Waqt Namaz Mana Hai, To Namaz Na Padhein.

Balki Dua Mein Mashgul Rahein Aur Isi Haalat Mein Doob Jayein To Dua Khatm Karde Aur Magrib Ki Namaz Padhein.

Johara, Raddul Muhtaar
Bahar-E-ShariAt Teesra Hissa 4 Safa 92,93

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri

Share your love