Jawab:
(1) Takbeer e Tahrima. (Namaz Shuru Karne Ke Liye Jo Takbeer Kahte Hai Use Takbeere Tahreema Kahte Hai).
(2) Kiyaam. (Namaz Mein Khade Hone Ki Halat Ko Kiyaam Kahte Hai).
(3) Qirat
(4) Ruku
(5) Sajda
(6) Qada E Aakhira (Namaz Mein Baithne Ki Halat Ko Qada Kahte Hai).
Wah 2 Hote Hai.
1) Qada-E-Ula
2) Qada-E-Akhira
Jis Qada Ke Baad Salaam Pherna Ho Use Qada-E-Akhira Kahte Hai.
Aur Jiske Baad Salaam Nahi Pherna Ho Use Qada-E-Ula Kahte Hai.
(7) Khuruj Beesun-E-Hi. (Yaani Apne Irade Se Namaz Khatm Karna).
Bahar-E-ShariyAt Teesra Hissa Safa 58,59
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi