Uske Ilm Mein Kapda Napaak Hai Aur Usme Namaz Padhi

Phir Maalum Huwa Ki Paak Tha To Namaz Ka Kya Hukm Hai?

Jawab:

Namaz Mein Satrr Ke Liye Paak Kapda Hona Jaruri Hai.

Yani Itna Naajis NaHo Jisse Namaz NaHo Sake. To Agar Paak Kapde Par Qudrat Hai Aur Napaak Pahan Kar Namaz Padhi Namaz Na Huyi.

Aalamgeeri Jild 1 Safa 56

Uske Ilm Mein Kapda Na-Paak Hai Aur Usme Namaz Padhi.

Phir Maalum Huwa Ki Paak Tha Namaz Na Huyi.

Durre Mukhtar Jild 1 Safa 292

Bahar-E-ShariAt Hissa Teesra Safa 38

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love