Jisne zohar namaz se pahle 4 Aur baad 4 par Muhafazat ki

Allah Ta’Ala Us ko Koun Se Ne’Amat Se Nawazega.

Jisne zohar namaz se pahle 4 Aur baad 4 par Muhafazat ki Allah Ta’Ala Us ko Koun Se Ne’Amat Se Nawazega.

A) Us par Aag Haraam farma dega
B) Sa’Aadat par us ka khatma hoga
C) Us ke Gunah Mita diye jayenge
D) Woh Dozakh mein na jayega

Mas’Ala: Isha Wa Asar ke pahle Aur isha ke baad 4 – 4 Rakat E Ek Salam se padhna mustahab hai. Aur Yah bhi ikhtiyaar hai ki isha ke baad 2 hi padhe Mustahab Ada ho jayega.

Yoon hi zohar namaz ke baad 4 Rakat Sunnat padhna mustahab hai ki.

Hadees mein Farmaya ki Jisne Zohar namaz se pahle 4 Aur Baad mein 4 par Muhafajat ki Allah Ta’Ala us par aag haraam farma dega.

Allama sayyed Tahtawi Farmate hai ki Sire se aag mein daahil hi na hoga Aur uske gunah mita diye jaayenge Aur jo is par mutaalbaat hai.

Allah Ta’Ala us ke farike ko Raazi kar dega. Yah matlab hai ki use Aisi kaamo ki taufique dega jin par saja na ho.

Aur Allama shami farmate hai ki us ke liye basharat hai ki Sa’Aadat par uska khaatma hoga Aur Dozakh mein na jayega.

Bahar-e-sahari’At Hissa 4 safa 14
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love