Imam se pehle Ruku kiya magar uske sar Uthane se pahle imam ne bhi Ruku kiya.

Imam se pahle Ruku kiya magar uske sar Uthane se pahle imam ne bhi Ruku kiya.nnIsne us waqt Ruku kiya ho ki imam Ba-Qadre farz qirat kar chuka ho. To Ab Ruku pe kya hukm hoga?nnRuku Ho gayannMas’Ala : Imam se pahle Ruku kiya magar us ke uthane se pahle imam ne bhi ruku kiya to Ruku ho gaya. Basharte ki isne us waqt Ruku kiya ho ki imam Ba-Qadre farz qirat kar chuka ho warna na huwa.nnAur is surat me imam ke Saath ya Baad, Agar dobara Ruku’a karega ho jayega.nnWarna namaz jaati rahi Aur Imam se pahle Ruku khwaah koyi Rukn ada karne me tha. Aur yah takbeer kah kar juhka tha ki khada ho gaya to Agar hadde Ruku me sharik ho gaya Agarche kalil (thoda hi) to Rakat mil gayi.nn(Aalamgeeri)nnMuktadi ne tamaam Rakato me Ruku wa sujud imam se pahle kiya to salaam ke baad jaruri hai ki Ek Rakat bagair Qirat padhe. Aur na padi to namaz na huyi,nnAur Agar imam ke baad Ruku wa sujud kiya to namaz ho gayi. Aur agar Ruku pahle kiya Aur sajda saath-saath to 4ro Rakat e Bagair Qirat padhe. Aur agar Ruku saath kiya Aur sajda pahle to 2 Rakat baad me padhe.nn(Aalamgeeri)n

Bahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 35

n

??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love