Do Rakat Ki Sunnat Padh Rahe Hai Aur Dusri Rakat Pe Salam Ferna Hai

Lekin Bhool Se Khade Ho Gaye.

To Kya Karna Chahiye Aur Agar Surah Fatiha Ke Dauraan Yaad Aaya. To Kya Karna Chahiye?

Jawab:

Teesri Rakat Ke Sajde Se Pahle Jab Bhi Yaad Aa Jaaye, Fauran Baith Jaayein Aur Agar Dosri Rakat Pe Qada Karne Ke Baad Teesri Ke Liye Khada Hua Tha.

To Ab Baithte Hi Sajda E Sahw Karein.

Phir Attahiyat O Durood Ibrahimi O Dua E Masurah Ke Baad Salam Pher De

Aur Agar Dosri Rakat Pe Qada Nahin Kiya Tha Aur Teesri Ke Liye Khada Ho Gaya.

To Ab Baithne Ke Baad attahiyat Padhein.

Phir Sajda E Sahw Karein Phir Attahiyat O Durood Ibrahimi O Dua E Masurah Ke Baad Salam Phere.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love