Zaid Aur Hinda Dono Balig Hai Aur Dono Se Apas Main Mulaqat Aur Ghumna Firna Hota Raha

Ab Surate Haal Ye Hai Ke Larki Ab Hamal Se Hai Pichle Ek Mahine Se.

Ab Dono Nikah Karna Chah Rahe Hai.

To Kya Is Dauran Dono Ka Nikah Hosakta Hai?

Jawab:

Jo Aurat Maaz Allah Zina Se Hamila Ho Us Se Nikah Saheeh Hai.

Khwaah Us Zaani Se Ho, Ya Us Ke Gair Se.

Farq Itna Hai Ke Zaani Jis Ka Hamal Hai Wo (Nikah Ke Baad) Us Se Qurbat Kar Sakta Hai Aur Gair E Zaani Agar Nikah Karein.

To Taa Waza E Hamal (Paidaish Hone Tak) Qurbat Nahi Kar Sakta.

Taake Dosre Ki Kheti Ko Apne Paani Se Sairaab Na Karein.

Durr E Mukhtaar

Zina Se Haamila Ka Nikah Saheeh Hai.

Tanveer Ul Absaar

Mulakkhasan Fatawa Razaviya Shareef

Shauhar Ki Biwi Ka Hamal Shauhar Ka Hi Thaherta Hai.

Huzoor Sallallahu alaihi wasallam Ne Irshad Farmaya:

Yaani Bachche Ka Nasab Nikah Waale Ka Hai Aur Zaani Ke Liye Mahroomi Hai.

Muslim ShareefKhalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love