Agar nikah subah ko hua aur usi raat aurat ko ayyam shuru ho gaye.
To ab qurbat to nahi hui lekin. Kya dusre din walima kar sakta hai?
Agar qurbat kare bina dawat karein to kya use walima kahenge?
Kya walima karne ke liye qurbat karna zaroori hai?
Jawab:
Agar Khilwat pa li gayi.
Yaani miya biwi aisi jagah mile jahan aur koi nahi aa sakta, to uske baad walima jaayez hai.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi