Kisi Sunni ka Nikah Kisi Wahabi Ne Wahabio Ki Masjid Mein Karwaya

Dono Dulha Dulhan Sunni Hai, To Kya Hum Inki Dawat Mein Jaa Sakte Hai.

Jawab:

Agar Do Sunni Musalman Us Majlis E Nikah Mein Gawah Hai, To Ye Nikah Ho Gaya.

Magar Wahabi Se Nikah Padhwane Mein Unki Tazeem Hai Aur Wahabi Ki Tazeem Haraam.

Aur Agar Aisa Wahabi Ho Jiski Bad-Mazhabi Hadd E Kufr Tak Pahunchi Ho, To Use Musalmaan Samajhna Kufr Hai.

Lihaza Agar Aise Wahabi Ko Musalman Samajh Kar Usse Nikah Padhwaya, To Ye Kufr Hai.

Jo Log Use Musalman Samjhe Woh Log Taubah Tajdeed E Imaan Karein Aur Biwi Wale Ho To Tajdeed E Nikah Bhi.

Jis Dawat Mein Gair Sunni Bhi Shareek Ho Us Dawat Mein Na Jayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love