1) Tabarruk Par Niyaz Di Jati Hai Kisi Bhi Tehwar Par, Toh Ab Usmein Sabhi Logo Ka Paisa Hota Hai? Halal, Haram Toh Kya Use Khaa Sakte Hein?
2) Agar Hamein Pata Nahi Ki Niyaz Mein Paisa Halal Hai, Ya Haram. Toh Kya Karein?
3) Maine Bhi Langar Mein Paisa Diya, Toh Mera Toh Halal tha.
Lekin Main Confirm Hoon Ki Ismein Haram Ka, Satte Ka Maal Bhi Hai.
Toh Usey Khaaye, Ya Nahi? Aur Aajkal Lagbhag Har Jagah Aisa Hi Ho Raha Hai.
Hazrat Iska Jawab Inayat Farmaye Taake Hum Gunah Se Mehfooz Rahein.
Jawab:
Agar Waaqai Maloom Hai Ke Ye Paisa Jo Liya Ja Raha Hai, Wo Haram Kamaai Ka Hi Hai.
To Use Na Liya Jaayein.
Phir Bhi Agar Aisi Koi Raqm Us Niyaz Mein Mil Gayi, To Uske Khane Mein Harj Nahi.
Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi