Be-Wazu Quran Sharif Ya Uski Kisi Aayat Ka Chhona Haraam Hai

Agar Bina Chhuye Zubaani dekh kar padhe to Koi Harz nahi. Rupaye par Aayat Likhi Ho, to un sabko, yaani Be-wazu walo jin par ghusl jaruri nahi hai Aur Haiz Aur Nifas waaliyoon ko uska chhuna haraam hai.

Haan Agar thaili mein ho to Thaili Uthaana jaayez hai.

Aise hi jis bartan ya gilaas par surat ya Aayat likhi ho uska chhuna bhi unko Haraam Hai. Aur uska Istemal sabko Makrooh.

Magar Jabki khaas sheefa ki niyat ho.

Quran Sharif dekhne mein un sab par kuch harz nahi.

Agarche Huruf par nazar padhe Aur Alfaaz Samajh mein aayein Aur khayaal mein padhe jaayein.

Darood Sharif Aur Duao ke padhne mein unhe kuch harz nahi.

Magar achcha, Yah Hai ki wazu, ya Kulli karke padhein.

Un sabko Azaan ka jawab dena jaayez hai.

Bahar -E-ShariAt Dusra Hissa Safa 37,38

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love