Agar Koi Quran Sharif Ki Tilawat Unchi Awaaz Mein Kar Raha Ho

To Hamein Sunna Farz Hai? Aur Agar Hum Masjid Mein Quran Sharif Ki Tilawat Kar Rahe Ho Aur Usi Masjid Mein Koi Aur Ya Imam Sahab Bhi Tilawat Zor Se Kar Rahe Ho.

To Kya Hamein Apni Tilawat Rok Kar Unki Tilawat Sunna Hoga.

Ya Hum Apni Tilawat Kar Sakte Hai?

Aur Agar Imam Sahab Mic Par Tilawat Kar Rahe Ho Tab Bhi Hamein Apni Tilawat Rok Kar Unki Tilawat Sunna Hoga?

Jawab:

Jaha Ek Se Zaayed Hazrat Tilawat Kar Rahein Ho To Sab Par Ahista Tilawat Karna Wajib Hai.

Aisi Jagah Awaz Se Tilawat Karne Wala Gunahgar Hoga.

Aur Agar Koi Tanha Tilawat Kar Raha Ho Aur Awaz Se Parhta Ho To Dosre Shaksh Par Khamosh Reh Kar Sunna Wajib Hai.

Mic Ki Awaz Agarche Asl Awaz Nahi Magar Ehteram Isi Mein Hai Ke Khamoshi Se Tilawat Suni Jaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love