Quran e Kareem ki tafseer, Ya tarjuma e Quran mobile phone par

Bagair wazu ke choo sakhte hai aur padh sakte hai?

Jawab:

Jab tak quran e hakeem ki ayatein screen pe nazar aa rahi ho us waqt screen ke us hisse ke be wazu chhoona jaayez nahin aur zabani padhne mein kuch harj nahin.

Aur agar tafseeri kalimaat screen pe hon to bihtar wazu karke chhoona hai, aur agar tafseeri kalimaat ko be wazu bhi chhoo liya to gunaah nahin.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love