Yani call pe baat, ya chat wagaira, ya phone mein kuch bhi dekhna status video.
Ye sab dekhne ke bawajud ke hume Quran e Majeed padhne wale ki galti malum padh jati, kya padh rahe hai kya galti hain.
Kya ye Quran e Majeed ka adab hain.
Rahnumai farmaye
Jawab:
Quran e Majeed ki jab tilawat ki jaayein to har kaam ko mauqoof karke Gaur se sunne ka hukm hai.
Is darmiyan Call pe baat karna ya chat karna khilaf e Adab aur mamnu hai.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi