Kya Quran Sharif sath sirf saat ahruf mein nazil hua hai?

Isse kya murad hai.

Ek Shakhs bata raha tha ki Quran Sharif ke surah nisa mein, koi quran sharif mein Arjulakum aur kisi mein Arjulikum likha hua hai.

Kya yeh baat durust hai.

Sawal yeh uttha hai ki jab Quran sharif ek aur hamara aqeedah yeh ki quran mein zair aur zabar ka farak nahi to yeh farak kaisa.

Hazrat rehnumai farmaye.

Jawab:

Agarche Saat Qiratein Hain, magar Ikhtelaaf e Qirat se Ikhtelaaf e Maana nahi.

Jis qirat mein Arjulikum zikr hai wo Jawaar ki buniyaad par hai na ke Eraab ki buniyaad par.

Lehaza Maana mein farq na hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love