Kya mobile mein quran shareef padhna sahi hai?

Quran shareef padhte waqt msgs, calls aur notifications wagera aate hai.

To unki taraf dhyan jata hai.

To iske liye kya hukm hai?

Jawab:

Behtar ye hai ke Quran shareef padhte waqt Mobile silent karle aur msgs wagaira par dhiyaan na de.

Jab tilawat mukammal karle to recieve karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love