Jis Mein Woh Keh Raha Hai Ke InshaAllah Mat Likho Kyu Ke Iska Matlab Hai Create Allah Nauzobillah.
Ab English Ho Ya Arbi Aisa Likhe IN SHAA ALLAH 3 TUKDO Mein.
Huzoor Kya Aisa Hi Kehna Hai Hum Pura Ek Saath Nahi Likh Sakte. Rehnumai Farmaye.
Jawab:
English Ya Dosri Zaban Mein Jab Hum Kisi Aur Zaban Ka Lafz Likhte Hain To Us Ke Talaffuz Ke Etebaar Se Likhte Hain.
Arabi Mein إن شاء الله Is Tarah Hi Likhna.
Magar Dosri Zaban Mein Jo Hum Istemaal Karte Hain Wo Sirf Isi Maana Mein Ke Agar ALLAH Chahe? Is Ke Ilawa Aur Koi Dusra Maana Koi Bhi Muraad Nahi Leta. Aur Talaffuz Mein Bhi Hum Zaban Se Ek Sath Hi Kehte Hain Na Ke Tukdo Mein.
Jo Aisa Kahe Us Se Ye Kaha Jaayein Ke Bolne Mein Bhi 3 Tukdo Mein Bola Karein Ek Saans Mein Na Bolein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi