Hanafi waqt shuru nahi hota tab shafayi ki azaan hoti hai

4.34 ko Hanafi ki azaan ki 4.42 or 4.44 ko hoti hai. Shafayi ki azaan ke waqt agar kuch khaya ya piya to kya uss haalat mein roza hoga?

Jawab:

Fajr ka waqt ahnaaf o shawaafe ke nazdeek ek hi hai.

Mazeed ye ke Ahnaaf ke nazdeek Fajr ka waqt shuru hone k baad hi azaan mashroo hai.

Lehaza agar Koi Fajr ke waqt hone se pehle azaan de to Us Ka etebaar ind al ahnaaf nahi hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love