Agar is Baat ka Itminan ho Ke Inzaal Nahi Hoga

Tab Roze Ka Kya Hukm Hai?

Masla – Roze mein aurat ka bosa lena galey lagana aur jism ko chuna makrooh hai. Jabki iss baat ka darr ho ke inzaal Hojayega, yaa jima mein mubtela hoga. Hont aur zaban choosna roze mein mutlaqan makrooh hai.

Raddul Muhtaar, Jild 3, Safah 454

Kanzul Imaan Group ® Roze ka Bayaan #1144

Jawab:

Hont Wagaira Choosna Mutlaqan Makrooh e Tahrimi Hai.

Aur Dosri Baatein Jo Zikr ki Gayi, wo Bhi Jima, Ya Shahwat ki Janib le Jaane Wali Hain.

Lehaza Agar Shahwat Hui to Makrooh Aur Agar is Niyat se Aisa na Kiya, Balke yu hi Gale Lagaya, Ya Bosa Liya Tab bhi Makrooh e Tanzeehi Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love