Agar Koi Intehai Zaeef Insan Bimari ki Wajah se Roze Na Rakh Sake

Toh Unke liye Roze ka Kya Huqm Hoga?

Jawab:

Agar Waaqai wo Roza Rakhne ki Taqat Kisi Mahine Mein Nahi Rakhte Aur na Aainda iski Ummeed Hai.

To Wo Har Roze Ke Badle Fidiya Den. (Yaani Ek Sadqa e Fitr).

Magar Yaad Rahe Ke Agar Baad Mein Kabhi wo is Laayeq Ho Gaye Ke Roza Rakh Sake to Rozo ki Qaza Lazim Hogi aur Ye Fidiya Nafl ho Jayega.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love